hahaha! Bhai saas, bahu to main kabhi dekhta hi nahi tha aur bollywood ki wohi ghisi-piti romantic action movies se main puri tarah pak gaya hoon isliye patni ke kahne par main bhi jhat se maan gaya. Aur haan maza to aaya, even ab to main fan hoon inke cinema ka aur mujhe lagta hai aap bhi ho jaoge bas ek baar mein judgemental mat hona.
Aapke liye supernatural mein main recommend karunga Oh My Ghost, A Korean Odyssey, Goblin, or Bring it on Ghost.
Aur ek baat main to Hindi audio dubbed hi dekhna enjoy karta hoon kyunki subtitles padhke main utna connect feel nahi kar pata to aap bhi jis tarah best enjoy karte ho waise hi dekhna warna accha bhala drama bhi bore kar sakta hai.